
Tuesday, October 14, 2008
at
3:09 PM
|
The intent to write this kavita was quite a romantic one, but with passage of lines and thoughts, this is what it resulted in. Rao rightly suggested - I could sell each of the stanzas for Rs. 50 to truck-wallahs so that they can write these at the back of their trucks.
Read on the 'Caustically emotional', 'Caustically romantic' and 'Caustically Caustic' kavita and leave ur comments.
taaro si chamakti teri ye aankhen,
phoolon sa khila tera ye chehra,
madhosh kar denge tere ye kaakul,
ehsaas hai inme koi saagar sa gehra.
roop tera esa saawra salona,
roshan kar deta hai rooh ka har ek kona,
kya zaroorat hai dhan daulat ki,
tera poora ang hai chaandi sona.
na koi maan, na koi gumaan,
sharmo-haya ki tu moorat hai,
bholi pyari ithlayi si,
teri ye komal soorat hai.
aankhon me teri chhaya hai noor,
e maula, na karna mujhe tujhse door,
tere zulfo ki faili hai jo ye kali ghata,
bikhre hain chehre pe, unhe yun na tu hata.
sooraj ki pehli kiran jab padti hai tere mukh pe,
khil uthta hai ye saara jahaan,
baadal jab umad umad ke aate hain,
pehli bauchhar karte hain tere jism pe yahaan.
tujhe andaza nahin tu kya cheez hai
ya banti hai tu ab itni masoom.
khade hain jo teri jhalak paane ko betaabi se,
kher, kar le tu un deewano se maloom.
na mita sake tere mere pyar ko,
na gira sake koi mere vishwaas ko,
bas akhiri raasta hai kisi ke paas,
band karni padegi use meri saans ko.
:) :)
Posted by
Vaibhav Jain
0 comments:
Post a Comment